~ My Favourite Song ~
Song: Gairon Pe Karam Apno Pe Sitam
Film: Aankhen (1968)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director: Ravi
Lyrics:
Gairon pe karam apnon pe sitam, ai jaan-e-vafa ye zulm na kar
Rehane de abhi thoda sa bharam, ai jaan-e-vafa ye zulm na kar
Ye zulm na kar ... Garion pe kara...
Hum chaahane wale hain tere, yun humko jalaana thiik nahin
Mehfil mein tamasha ban jaayen, is darja sataana thiik nahin
Is darja sataana thiik nahin
Mar jayenge hum mitt jaayenge hum
Ai jaan-e-vafa ye zulm na kar, ye zulm na kar
Gairon pe karam...
Gairon ke thirakate shaane par, ye haath ganvara kaise karein
Har baat ganvara hai lekin, ye baat ganvara kaise karein
Ye baat ganvara kaise karein
Tujhko teri bedardi ki qasam
Ai jaan-e-vafa ye zulm na kar, ye zulm na kar
Gairon pe karam...
Hum bhi the tere manzur-e-nazar, dil chahe to ab iqaraar na kar
Sau tiir chala siine pe magar, begaanon se milkar vaar na kar
Begaanon se milkar vaar na kar
Bemaut kahin mar jaayen na hum
Ai jaan-e-vafa ye zulm na kar, ye zulm na kar
* * * * *

Recommend
votes